Kaise Shabbir Ko Seene Se Lagaye Zahra Wajhi Hasan 2021
Kaise Shabbir Ko Seene Se Lagaye Zahra Wajhi Hasan Zaidi.
Pas Zahra Ke Jo Ik Roz Hussain Aa Pohanchay.
Pyar Jab Maa Ne Kiya Hath Rakhay Pehlu Pe.
Haye Shabeer Ne Ro Ro Ke Kaha Madar Se.
Aaj Kyun Aap Ne Seene Se Lagaya Na Mujhe.
Pasliyaan Toot Chukin Kaisay Bataye Zahra.
Kaisay Shabeer Ko Seene Se Lagaye Zahra.
Apni Takleef Ki Shiddat Main Bata Sakti Nahi.
Hath Pehlu Pe Jo Rakha Hai Hata Sakti Nahi.
Haal Shabeer Ko Kis Tarha Sunaye Zahra.
Mujh Ko Rota Howa Dekha Tu Na Seh Paye Ga.
Mera Beta Meri Halat Pe Tarap Jaye Ga.
Ashk Shabeer Se Chup Chup Ke Bahaye Zahra.
Ro Ke Zahra Ne Kaha Aao Sanbhalo Fizza.
Mere Shabeer Ko Seene Se Laga Lo Fizza.
Farz Maa Hone Ka Kis Tarha Nibhaye Zahra.
Janib-e-Karb-o-Bala Dekh Ke Ro Deti Hai.
Our Rotay Hoye Betay Ka Gala Chomti Hai.
Pani Shabeer Ko Jab Jab Bhi Pilaye Zahra.
Hath Our Chehray Pe Har Zulm Abhi Tak Hai Ayyaan.
Taziyane Ke Nishaan Our Woh Tamachay Ka Nishaan.
Kaisay Shabeer Ki Nazron Se Chupaye Zahra.
Ab Na Seene Se Lagaya Tu Bohat Roye Ga.
Jab Talak Maa Na Sulaye Gi Nahi Soye Ga.
Dard Tham Jaye Tu Betay Ko Sulaye Zahra.
Maa Ne Ik Hath Barhaya Tu Kaha Betay Ne.
Dosra Hath Barhao Tu Lagoon Seene Se.
Hath Uthta Nahi Kis Tarha Bataye Zahra.
Karbala Mein Woh Ajab Lamha Tha :ZEESHAN:-o-:WAJIH:.
Jab Sar-e-Shah-e-Zaman Katta Tha :ZEESHAN:-o-:WAJIH:.
Kaisay Shabeer Ko Khanjar Se Bachaye Zahra.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volum: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Zill-e-Raza Zaidi:
#AyameFatmiyah
#KaiseShabbirKo
#NohayLyrics
#tajpoint