Ya Mehdi Al Ajal Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu 2011
Ya Mehdi Al Ajal Mir Hasan Mir Write Up
Al-Ajal Al-Ajal Waris-e-Karbala.
Karbala Se Yehi Aa Rahi Hai Sada.
Lash-e-Shabeer Par Jo Giraye Gaye.
Main Woh Pathar Hoon Kab Se Sanbhalay Hoye.
De Inhi Pathron Se Tu Unn Ko Saza.
Maa Ki Nazrein Na Dekhein Yehi Soch Kar.
Seena Apne Chupaye Hoye Hai Magar.
Zakhm Dikhlaye Ga Tujh Ko Akbar Tera.
Inteqam Aa Ke Zainab Ki Chadar Ka Le.
Sar Se Pehle Tu Oss Hath Ko Kaat De.
Bint-e-Zahra Ki Jis Ne Rida Ko Chowa.
Ik Ziyarat Chupaye Hoye Hoon Abhi.
Tum Ko Diklaongi Aao Gay Jis Ghari.
Khoon Sakina Ka Jo Khak Par Tha Gira.
Sar Juda Tan Juda Dono Bazu Juda.
Phir Bhi Ghazi Ko Arman Hai Jang Ka.
Hath Uthaye Bina De Raha Hai Sada.
Sath Khaimon Ke Har Aik Shey Jal Gayi.
Zulm Bhi Thak Gaya Aag Bhi Bujh Gayi.
Jal Raha Hai Magar Ab Bhi Seena Mera.
Har Azadar Yeh Kar Raha Hai Dua.
Aisa Ashor Ho Ab Ke :AKBAR: Bapa.
Karbala Mein Miley Waris-e-Karbala.
Poet: :Hasnain Akbar:
NohaKhowan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2010-11:
#YaMehdiAlAjal
#NohayLyrics
#tajpoint