Mere Baba Khairiyat Se Hoon Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1998

Mere Baba Khairiyat Se Hoon Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1998

Mere Baba Khairiyat Se Hoon Nadeem Sarwar.

Sughra Gash Se Chonk Kar Uthi Boli Sar Ko Peetti Hoi.
Haye Meri Neend Urr Gayi Mere Baba Khairiyat Se Hoon.

Dekha Aaj Main Ne Kaisa Khuwab Rait Par Paray Hain Kuch Ghulab.
Chun Rahe Hain Jin Ko Buturab Khon Ro Raha Hai Aaftab.

Ik Taraf Alam Hai Khon Mein Tar Jhuk Gayi Hai Shah Ki Kamar.
Ja Rahi Hai Jis Taraf Nazar Bibiyaan Khari Hain Nangay Sar.

Haye Haye Qasim-e-Jawaan Bain Kar Rahi Hai Jis Ki Maa.
Hill Gaye Zameen-o-Aasmaan Tori Jab Dulhan Ne Choriyaan.

Aik Bachi Seena-e-Padar Dhondti Rahi Idhar Udhar.
Baap So Raha Tha Khak Par Jis Ke Tan Se Kat Chuka Tha Sar.

Qaid Hain Rasool Zadiyaan Hath Mein Bandhi Hain Rasiyaan.
Be Kajawa Hain Amariyaan Khoon Ro Raha Hai Sarbaan.

Khuwab Yeh Bara Ajeeb Tha Baad Shah-e-Dein Ghareeb Tha.
Kya Yehi Mera Naseeb Tha Be Kafan Mera Tabeeb Tha.

:SARWAR-o-REHAN: Ki Dua Ho Qabool Shah-e-Karbala.
Koi Beti Our Iss Tarha Phir Tarap Ke Youn Na De Sada.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1997-98:

#MereBabaKhairiyatSeHoon
#NohayLyrics
#tajpoint

Mere Baba Khairiyat Se Hoon Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1998 Write Up Poster Image

Mere Baba Khairiyat Se Hoon Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1998

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!