Haider Maula Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2017
Haider Maula Nadeem Sarwar Lyrics
Jab Haq Se Karo Gay Pyar Tu Kehna Parta Hai.
Dil Ishq Mein Ho Sarshar Tu Kehna Parta Hai.
Haider Haider Ya Maula.
Noorullah, Waliullah, Asadullah, Ainullah, Aayaullahe Uzma Janum.
Doba Jo Ali Ke Jalwon Mein Ik Ajab Nazara Dekha Hai.
Hubdar Ali Ke Baithay Hain Har Lab Pe Ali Ka Narah Hai.
Miqdad, Abuzar Jhomtay Hain Salman Qasiday Parhta Hai.
Sab Jaam Wila Ke Peetey Hain Our Saqi-e-Kausar Maula Hai.
Ho Aisa Sakhi Darbar Tu Kehna Parta Hai.
Yeh Sare Nazarey Ishq Ke Hain Majlis Matam Sab Ishq-e-Ali.
Yeh Noha Khuwaan Yeh Shal-e-Azza Hathoon Mein Alam Sab Ishq-e-Ali.
Zawwari-e-Shah-e-Karbala Yeh Jah-o-Hashim Sab Ishq-e-Ali.
Humrah Namaz Ke Farsh Azza Mazloom Ka Gham Sab Ishq-e-Ali.
Ho Lashkar-e-Gham Teyar Tu Kehna Parta Hai.
Na Chair Malangane Haider Inhein Inn Ke Haal Pe Rehne De.
Inhein Dar Pe Ali Ke Jeene De Inhein Maula Maula Karne De.
Har So Hai Maula Jalwa Gar Inn Ka Dedar Tu Karne De.
Mahool Hai Sara Norani Iss Noor Ko Our Nikharne De.
Jab Aisi Ho Sarkar Tu Kehna Parta Hai.
Mera Tan Man Dahan Mera Zooq-e-Sukhan Meri Jan Jawani Ya Haider.
Mere Dil Mein Sada Jagmag Jagmag Mere Rab Ki Nishani Ya Haider.
Mere Dam Mein Hai Dam, Dam Gaunj Rahi Aawaz-e-Qurani Ya Haider.
Haan Mere Badan Mein Bool Rahi Mere Khoon Ki Rawani Ya Haider.
Ho Itna Haseen Kirdar Tu Kehna Parta Hai.
Sardar Mere Aaqa Mere Aye Hadi-o-Rehbar Ya Maula.
Aye Shams-e-Wilayat Mehar-e-Wafa Aye Saqi-e-Kausar Ya Maula.
Meri Saj Dhaj Haar Singhar Yeh Dil Meri Rooh Ka Zewar Ya Maula.
Meri Deed Nazara Noor-e-Nazar Manzar Pas-e-Manzar Ya Maula.
Mera Khuwab-o-Khiyal-o-Wird, Wazeefa Soch Ka Mehwar Ya Maula.
Hai Wird-e-Zabaan Maula Maula Meri Rooh Qalandar Ya Maula.
Roohullah, Iznullah, Baabullah, Saifullah, Aayatullah, Wajahullah.
Ahmad Ka Baradar Haider Maula, Imran Ka Dilbar Haider Maula.
Zahra Ka Shohar Haider Maula, ALLAH Ka Lashkar Haider Maula.
Kabay Ka Niya Dar Haider Maula, Nabiyon Ka Yawar Haider Maula.
Maula-e-Qanbar Haider Maula, Salman Ka Rehbar Haider Maula.
Aaqa-e-Abuzar Haider Maula, Kahin Malik-e-Ashtar Haider Maula.
Hum Tere Sana Gar Haider Maula, Hum Tere Nokar Haider Maula.
Kahin Saat Samandar Haider Maula, Kahin Lal Qalandar Haider Maula.
Dam Mast Qalandar Haider Maula, Dam Mast Qalandar Haider Maula.
Zindagi Di Hai Tu Jeene Ka Hunar Bhi De De.
Paon Bakhshey Hain Tu Taufeeq-e-Safar Bhi De De.
Jis Pe Chalte Rahe Salman-o-Abuzar, Qanbar.
Mere Maula Mujhe Woh Rahguzar Bhi De De.
Poet: :Jawad Jafri, Nadeem Sarwar:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2017-18:
Composition: :Nadeem Sarwar:
#HaiderMaula
#NohayLyrics
#tajpoint
Haider Maula Nadeem Sarwar Lyrics