Ghazi Alam Tera Uncha Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2001
Ghazi Alam Tera Uncha Nadeem Sarwar.
Kal Bhi Alam Tera Oncha Raha Hai Aaj Bhi Hai Our Kal Bhi Rahe Ga.
Tere Alam Ke Saye Mein Dunya Apni Muradein Mang Rahi Hai.
Tere Alam Ke Saye Mein Aa Kar Jo Nahi Manga Woh Bhi Miley Ga.
Iss Ko Abu Talib Ne Banaya Mere Nabi Ne Iss Ko Sajaya.
Bint-e-Asad Ne Sehra Charhaya Zahra Ke Bachoon Pe Saya Karey Ga.
Haan Yeh Alam Hamza Ka Alam Hai Haan Yeh Alam Jafar Ka Alam Hai.
Haan Yeh Ghadeer-e-Khum Ka Bharam Hai Sab Parchamo Ka Yeh Maula Rahe Ga.
Chadar-e-Zahra Iss Ka Pharera Patka Bhi Hai Zainab Ki Dua Ka.
Aisay Bandhi Hai Mashk-e-Sakina Rishta Alam Se Iss Ka Rahe Ga.
Bhool Nahi Sakta Yeh Zamana Pani Pe Parcham Ka Lehrana.
Hath Katana Mashk Banana Ban Ke Wafa Tu Zindah Rahe Ga.
Youn Tu Bohat Zainab Pe Sitam Tha Lekin Woh Gham Jo Koh-e-Alam Tha.
Woh Tera Gham Tha Woh Tera Gham Tha Dil Tere Gham Mein Rota Rahe Ga.
Zair-e-Alam :REHAN-o-SARWAR: Noha Parho Youn Ashk Baha Kar.
Shad Hoon Zahra Bint-e-Payamber Ashk-e-Azza Yeh Kehta Rahe Ga.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2000-2001:
#GhaziAlamTeraUncha
#NohayLyrics
#tajpoint