JANAZA Syed Mohammad Shah Lyrics In Urdu 2023
JANAZA Syed Mohammad Shah Lyrics
Pehla Taboot Tha Madine Mein Shab Ke Parday Mein Jo Uthaya Gaya.
Qabrein Chalees Hain Gawah Iss Ki Yeh Janaza Bohat Chupaya Gaya.
Jis Ka Ayelaan Nahi Howa Koi Yeh Madine Ka Woh Janaza Hai.
Yeh Hai Ikloti Beti Ahmad Ki Kalma Goyon Ne Jis Ko Mara Hai.
They Faqat Saat Loag Hi Aisay Jo Bulaye Gaye Janazay Mein.
Unn Se Hat Kar Bharay Madine Se Na Bulaya Na Koi Aaya Hai.
Bas Yeh Tafseel Hai Musayab Ki Hai Yehi Dard Ka Khulasa Bhi.
Jis Keh Aagay Na Sar Uthana Tha Oss Pe Ummat Ne Hath Uthaya Hai.
Kaisi Ghurbat Hai Iss Janazay Ki Kandah Deney Ko Chaar Kandhey Nahi.
Yeh Janaza Uthane Walon Mein Aik Mastoor Hai Jo Fizza Hai.
Aman Ka Shehar Tha Madina Magar Qabar-e-Zahra Wahan Nahi Mehfooz.
Taig Utha Kar Jahan Baqiya Mein Aik Mazloom Pehra Deta Hai.
Haye Ghurbat Ke Bint-e-Sarwar Ko Taziyane Se Jis Ne Mara Tha.
Ossi Qunfuz Laeen Ko Hakim Ne Khas Inam Se Nawaza Hai.
Bint-e-Sarwar Ki Yeh Wasiyat Thi Woh Na Aaein Marey Janazay Par.
Marey Baba Ke Baad Jis Jis Ne Ya Ali Mera Dil Dukhaya Hai.
Jurm Kya Tha Batool Ka :MUHSIN: Sirf Itna Ali Ki Zojah Thi.
Qatal Kar Ke Batool Logon Ne Khum Ka Badlah Tha Jo Chukaya Hai.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Syed Mohammad Shah:
Noha Volum: :Syed Mohammad Shah 2022-23:
Composition: :Hasan Gauri:
#JANAZA
#NohayLyrics
#tajpoint