Aabad Hoi Karb o Bala Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu and Roman Urdu
آباد ہوئی کرب و بلا اُجڑا مدینہ برباد ہوئی مَیں
Aabad Hoi Karb-o-Bala Ujra Madina Barbad Hoi Main.
Zainab Ko Na Raas Aaya Muharram Ka Maheena Barbad Hoi Main.
Ik Din Tha Keh Iss Shehar Ki Main Karti Thi Shahi Our Aaj Tabahi.
Be Ghusal Para Mohar-e-Nabowat Ka Nagina Barbad Hoi Main.
Kis Lash Pe Royon Kisay Choron Main Baradar Lashay Hain Bahatar.
Had Yeh Hai Keh Roney Ki Ijazat Bhi Mili Na Barbad Hoi Main.
Asghar Ka Gala Bhai Ka Sar Seena-e-Akbar Sab Gohar-o-Chadar.
Iss Dasht Mein Loota Gaya Zainab Ka Khazeena Barbad Hoi Main.
Maein Bhi Na Pehchan Sakein Bachoon Ke Chehray Bikhrey Hoye Sehrey.
Hai Khon Ke Darya Mein Gareebon Ka Safena Barbad Hoi Main.
Ik Aag Hai Khaimon Mein Qayamat Ka Sama Hai Ghazi Tu Kahan Hai.
Dekho Tu Rida Cheen Gaya Shimar Kamina Barbad Hoi Main.
Chadar Cheeni Dur Le Liye Ab Zulm Na Dhao Baba Se Milao.
Naizay Ke Talay Baith Ke Roti Hai Sakina Barbad Hoi Main.
Paband-e-Rasan Bibiyaan Bazar Khulay Sar Har Moor Pe Pathar.
Masoom Yateemo Ka Baha Surkh Paseena Barbad Hoi Main.
:SHAUKAT: Sar-e-Maqtal Yeh Kaha Bint-e-Ali Ne Zahra Ki Pali Ne.
Bhaiyya Tere Bin Khak Teri Behna Ka Jeena Barbad Hoi Main.
Poet: :Shokat:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1993-94:
#AabadHoiKarboBala
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com