Asghar Ka Janaza Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1994

Asghar Ka Janaza Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1994

Asghar Ka Janaza Nadeem Sarwar Lyrics

Aye Momino Jab Khon Mein Doba Howa Aaya.
Asghar Ka Janaza, Asghar Ka Janaza.
Shabeer Ne Ik Maa Se Ossay Kaisay Chupaya.
Asghar Ka Janaza, Asghar Ka Janaza.

Hathoon Pe Janaza Ali Asghar Ka Utha Kar.
Rukh Soye Falak Kar Ke Sada Detey They Sarwar.
ALLAH Yehi Hadia-e-Aakhir Hai Hamara.

Chehray Pe Mere Khoon Hai Mere Guncha Dahan Ka.
Murjhaya Hai Yeh Phool Muhammad Ke Chaman Ka.
Aye Nana Tere Deen Pe Karta Hoon Main Sadqa.

Sang Dil They Laeen Bachay Pe Kuch Reham Na Khaya.
Pani Ke Talab Karne Pe Khoon Oss Ka Bahaya.
Islam Ko Ab Hashar Talak Kar Gaya Zindah.

Jab Raat Ko Maa Apne Tasawar Ko Jagati.
Aawaz Ossay Jholay Ki Noha Yeh Sunati.
Kya Bhool Gayi Hathoon Pe Sarwar Ke Jo Dekha.

Maa Kehti Thi Yeh Gaud Ke Palay Ali Asghar.
Thi Aarzu Dekhon Gi Main Sehra Tere Sar Par.
Kyun Waqt Ne Mujh Kokh Jali Ko Hai Dikhaya.

Yaad Aa Gaya Zindaan Mein Jo Bhaiyya Ka Homakna.
Sajjad Se Tab Kehne Lagi Bali Sakina.
Kya Kha Ke Taras Dhop Se Logon Ne Uthaya.

:REHAN: Sheh-e-Dein Ne Har Ik Lash Uthai.
Akbar Sa Jawaan Unn Mein Tha Abbas Sa Bhai.
Betay Se Yadullah Ke Magar Uth Nahi Paya.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1993-94:

#AsgharKaJanaza
#NohayLyrics
#tajpoint

Asghar Ka Janaza Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1994 Write Up Poster Image

Asghar Ka Janaza Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1994

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!