Aa Dekh Mere Ghazi Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1992

Aa Dekh Mere Ghazi Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1992

Aa Dekh Mere Ghazi Nadeem Sarwar.

Aa Dekh Mere Ghazi Oncha Hai Alam Tera.
Dil Seene Mein Jab Tak Hai Bholay Ga Na Gham Tera.

Zainab Ki Dua Ban Kar Ik Waqt Woh Aaye Ga.
Har Ghar Pe Saja Hoga Abbas Alam Tera.

Aa Jatin Hain Zahra Bhi Zainab Bhi Ziyarat Ko.
Jab Aath Muharram Ko Uthta Hai Alam Tera.

Taboot Jab Uthta Hai Shabeer Ka Aye Ghazi.
Taboot Ke Aagay Bhi Chalta Hai Alam Tera.

Woh Kaun Se Sadmay They Sheh Toot Gaye Jis Se.
Ik Dard Tha Zainab Ka Our Dosra Gham Tera.

Parcham Ka Pharera Tha Ya Aas Thi Zainab Ki.
Zainab Ke Kalejay Se Gham Kaisay Ho Kam Tera.

Bazar Mein Zindaan Mein Darbar Mein Har Lamha.
Zainab Ki Tu Sansoon Pe Tha Naam Raqam Tera.

Jab Beh Gaya Sab Pani Tab Aas Teri Tooti.
Tha Seene Ke Andar Ya Mashkezay Mein Dam Tera.

Aawaz Teri :SARWAR: Shabeer Se Wabasta.
Abbas Se Wabasta :REHAN: Qalam Tera.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1992-93:

#AaDekhMereGhazi
#NohayLyrics
#tajpoint

Aa Dekh Mere Ghazi Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1992 Write Up Poster Image

Aa Dekh Mere Ghazi Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1992

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!