Sughra Ne Khat Likha Hai Kab Aao Gaye Akbar Hasan Sadiq Lyrics 2002

Sughra Ne Khat Likha Hai Kab Aao Gaye Akbar Hasan Sadiq Lyrics 2002

Sughra Ne Khat Likha Hai Kab Aao Gaye Akbar Hasan Sadiq.

Jan Aa Gayi Labon Par Kab Aao Gay Akbar.

Ab Tu Diya Jalanay Ki Taqat Nahi Rahi.
Youn Samjho Ab Tu Jeene Ki Hasrat Nahi Rahi.
Pardais Se Palat Kar Kab Aao Gay Akbar.

Qabar-e-Nabi Pe Ja Kar Mannat Hai Main Ne Mani.
Kunbay Pe Mere Ya Rab Howay Na Band Pani.
Dar Pe Khari Hai Khwahar Kab Aao Gay Akbar.

Shadi Agar Rachana Karb-o-Bala Mein Ja Ke.
Haq Mera Mujh Ko Dena Bhaiyya Watan Mein Aa Ke.
Dulhan Ko Apni Le Kar Kab Aao Gay Akbar.

Bhaiyya Behan Ka Meri Dekho Khiyal Rakhna.
Jab Mujh Ko Yaad Kar Ke Roye Meri Sakina.
Le Kar Ossay Mere Ghar Kab Aao Gay Akbar.

Che Mah Ke Ho Gaye Hain Khat Bhi Na Tum Ne Likha.
Kis Haal Mein Hai Sughra Yeh Bhi Na Tum Ne Pocha.
Kehta Hai Qalb-e-Muztar Kab Aao Gay Akbar.

:REHAN: Aik Din Yeh Kaisi Khabar Thi Aayi.
Humshakal-e-Mustafa Ne Seene Pe Barchi Khayi.
Aaya Hai Phir Labon Par Kab Aao Gay Akbar.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2002-03:

#KabAaoGayeAkbar
#NohayLyrics
#tajpoint

Sughra Ne Khat Likha Hai Kab Aao Gaye Akbar Hasan Sadiq Lyrics 2002 Write Up Poster Image

Sughra Ne Khat Likha Hai Kab Aao Gaye Akbar Hasan Sadiq Lyrics 2002

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!