Shar e Khuda Par Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2023

Shar e Khuda Par Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2023

Shar e Khuda Par Wajhi Hasan Zaidi

Kya Waqt Musibat Ka Hai Yeh Shair-e-Khuda Par.
Khoon Dekhtey Hain Apna Woh Zainab Ki Rida Par.

Kaisay Kahin Abbas Keh Zakhmi Hoye Baba.
Behno Ko Bohat Naaz Hai Amma Ki Dua Par.

Behno Ko Madine Liye Jate Hain Baradar.
Ab Unn Ko Bharosa Nahi Kofay Ki Hawa Par.

Ashor Ko Bhi Aaj Hi Ro Lo Meri Bibi.
Pabandi Nahi Aaj Teri Aah-o-Boka Par.

Jate Hoye Kar Lijiye Beti Ki Ziyarat.
Aankhein Tu Ali Kholiye Zainab Ki Sada Par.

Iss Tarha Bahaya Gaya Khon-e-Abu Talib.
Darya Mein Bahaya Tu Uraya Hai Hawa Par.

Parhne Nahi Aaye Jo Muhammad Ka Janaza.
Khushiyaan Woh Manatay Rahe Haider Ki Qaza Par.

Uneeswin Ramzan Ki Hoti Hain Azanein.
Aa Jao Musalmano Sabhi Farsh-e-Azza Par.

:AKBAR: Kahin Shohar Kahin Beton Ka Lahu Hai.
Utari Thin Kabhi Aayatein Zahra Ki Kisa Par.

Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2022-23:
Composition: :Munawar Ali Khan,Nomi:

#ShareKhudaPar
#NohayLyrics
#tajpoint

Shar e Khuda Par Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2023 Write Up Poster Image

Shar e Khuda Par Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2023

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!