Qurban Raza Jan Mir Sajjad Mir Lyrics In Urdu 2022
Qurban Raza Jan Mir Sajjad Mir
Main Aap Pe Qurban Raza Jan, Raza Jan.
Bulwa Lein Mujhe Jald Khurasan Raza Jan.
Sab Zindagi Kartay Hain Talab Sehan-e-Shifa Mein.
Lekin Hai Mujhe Maut Ka Arman Raza Jan.
Khali Ke Maheeney Ko Main Khali Nahi Kehta.
Aamad Pe Teri Lagta Hai Shaban Raza Jan.
Khud Shair Bhi Karne Lagay Aaho Ki Hifazat.
Ho Jaein Agar Aap Nigehban Raza Jan.
Qaleen Pe Baithay Nazar Aaye Woh Haram Ke.
Chor Aaye Kahin Takht Suleman Raza Jan.
Darhi Pe Lagi Gard Se Pehchano Ga Unn Ko.
Mashhad Mein Nazar Aaye Jo Salman Raza Jan.
Ik Hirni Shikari Se Yeh Hanstay Hoye Boli.
Iss Jaan Ke Mohafiz Hain Meri Jan Raza Jan.
:SAJJAD: Ke Shairon Ko Bhi Kar Dijiye Zindah.
Qaleen e Wark Par Hain Yeh Be Jan Raza Jan.
Poet: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Volume: :Mir Sajjad Mir 2022-23:
Composition: :Rizwan Ali Zaidi:
#QurbanRazaJan
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Qurban Raza Jan Mir Sajjad Mir Lyrics In Urdu 2022 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
