Dafna Ke Fatima Ko Nahi Uth Sake Ali Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2025
Dafna Ke Fatima Ko Nahi Uth Sake Ali Wajhi Hasan Zaidi.
Oss Waqt Thi Ali Pe Musibat Ki Inteha.
Rakha Tha Jab Lehad Mein Janaza Batool Ka.
Dafna Ke Fatima Ko Nahi Uth Sakay Ali.
Apni Kamar Ko Tham Ke Baithay Rahe Ali.
Zakhmi Thi Kitni Haye Hussain-o-Hasan Ki Maa.
Jab Waqt-e-Ghusal Tooti Hoi Dekhein Pasliyaan.
Oss Waqt Cheekh Mar Ke Roney Lagay Ali.
Kitna Akela Ho Gaya Koi Nahi Mera.
Tum Bhi Ali Ko Chor Gayin Tanha Fatima.
Ab Apne Dil Ka Haal Sunaye Kisay Ali.
Laye Gi Zakhmi Chehra Teri Bargah Mein.
Ya Rab Tamacha Mara Gaya Jis Ko Rah Mein.
Ab Kar Chuka Hai Tere Hawalay Ossay Ali.
Tum Taziyane Khati Thi Jab Mere Samne.
Aata Tha Yaad Hukam-e-Rasool-e-Khuda Mujhe.
Karta Na Sabar Warna Woh Sab Dekh Ke Ali.
Dekha Tha Jab Hasan Ne Kafan Khol Khol Kar.
Chehray Ko Dekhta Raha Maa Bool Bool Kar.
Ab Maa Nahi Hai Kaisay Sanbhalay Ossay Ali.
Pehlu Shikasta Tham Ke Chalti Rahi Ho Tum.
Ghar Mein Bhi Apne Girti Sanbhalti Rahi Ho Tum.
Yeh Keh Ke Kitni Bar Na Jane Girey Ali.
Gham Ne Tumhare Mar Diya Haye Fatima.
Uthtey Hoye Zameen Se Jo Utha Nahi Gaya.
Bachoon Mujhe Sahara Do Kehte Rahe Ali.
Katta Howa Woh Dekhey Ga Bhai Ka Jab Gala.
Zainab Ko Aa Ke Dena Wahan Tum Bhi Hosla.
Tanha Wahan Sanbhalay Ga Kaisay Ossay Ali.
:ZEESHAN: Our :WAJIH HASAN: Kaisa Waqt Tha.
Bachoon Ne Aa Ke Baap Ko Jab Hosla Diya.
Lipta Ke Unn Ko Seene Se Roney Lagay Ali.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volum: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2025-26:
Composition: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
#DafnaKeFatimaKo
#NohayLyrics
#tajpoint
