Abbas Kay Hathon Ko Salamat Rakhna Lyrics Urdu 2021
Abbas Kay Hathon Ko Salamat Rakhna Syed Wajhi Hasan Zaidi
Shah Ne Maqtal Ki Ijazat Jo Alamdar Ko Di.
Gir Gayi Sajda-e-Khaliq Mein Ali Ki Beti.
Ro Ke Khaliq Se Dua Karti Thin Bint-e-Zahra.
Mere Abbas Ke Hathoon Ko Salamat Rakhna.
Jab Se Abbas Ne Jane Ki Riza Hai Mangi.
Kya Bataon Hai Sheh-e-Deen Ki Halat Kaisi.
Bosay Shano Ke Ossay Detey Hain Ro Kar Maula.
Oss Ki Gardan Mein Sakina Ne Poroi Jo Abhi.
Sirf Woh Mashk Nahi Jaan Hai Mere Bachoon Ki.
Oss Ke Shano Se Na Utray Yeh Kabhi Mashkeza.
Dekhti Hoon Ke Abhi Larzah Tha Ran Mein Parcham.
Khak Par Gir Gaye Shabeer Youn Uljhay They Qadam.
Tham Kar Apni Kamar Uthtey Hain Shah-e-Wala.
Marne Walay Tu Lakhon Hain Akelay Hain Hussain.
Sath Abbas Hain Jab Tak Hai Mere Dil Ko Chain.
Iss Ke Hotey Koi Bhaiyya Ko Nahi Cho Sakta.
Aik Ahsas-e-Hifazat Hai Yeh Hum Sab Ke Liye.
Dosri Chadar-e-Tatheer Hai Zainab Ke Liye.
Ho Ga Zainab Pe Yeh Ahsan Elahi Tera.
Chalna Seekha Karo Baba Ne Kaha Tha Jab Se.
Oss Ke Jeene Ki Dua Karti Hai Zainab Tab Se.
Aisa Lagta Hai Keh Woh Waqt Hai Aane Wala.
Umm-e-Kulsoom Ko Main Dekh Ke Aayi Hoon Abhi.
Roti Hai Seene Se Talwar Laga Kar Oss Ki.
Baad Abbas Ke Shayad Na Bachay Gi Zindah.
Dil Mein :AKBAR: Yehi Kehti Thi Ali Ki Beti.
Teer Mashkezay Pe Barsaein Gay Maqtal Mein Shaqi.
Kis Tarha Hathoon Se Rokay Ga Woh Teeron Ko Bhala.
Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2021-22:
Composition: :Zill e Raza Zaidi:
#AbbasKayHathonKo
#NohayLyrics
#tajpoint