Akber Ali Akber Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Akber Ali Akber Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

اکبر علی اکبرؑ

Akber Ali Akber Humshakal-e-Payamber Allahumma Salle Ala Allahumma Salle Ala
Akbar Yeh Chahta Hai Keh Akbar Banaon Main.
Apne Jamal-e-Zaat Ka Mazhar Banaon Main.
Noor-e-Azal Ka Naqsh-e-Makarrar Banaon Main.
Ik Bar Phir Rasool Ka Paikar Banaon Main.
Dobarah Apne Husan Ka Johar Banaon Main.
Main Hoon Ali So Ab Ali Akbar Banaon Main.
Jee Chahta Hai Dosra Ahmad Banaon Main.
Jee Chahta Hai Husan Ki Ik Had Banaon Main.
Khush Qamaton Mein Sab Se Hi Khush Qad Banaon Main.
Hai Jee Mein Karbala Ka Muhammad Banaon Main.
Aisa Banaon Jo Marey Nazoon Ka Naaz Ho.
Sar Ta Qadam Yeh Poray Ka Pora Namaz Ho.
Jibreel Jao Azmat-e-Imran Le Ke Aao.
Yaseen Our Sorah-e-Rehman Le Ke Aao.
Al-Hamd Uthao Lolo-o-Marjan Le Ke Aao.
Aisa Karo Keh Pora Hi Quran Le Ke Aao.
Apne Karam Mein Sari Karamat Gondh Kar.
Iss Ka Badan Banaon Main Aayat Gondh Kar.
Barah Imamaton Ki Ikayi Ko Gondh Kar.
Kul Anbiya Ki Sari Kamai Ko Gondh Kar.
Yani Khud Apni Sari Khudai Ko Gondh Kar.
Main Kibriya Hoon Apni Barai Ko Gondh Kar.
Aisa Banaon Zaat Ki Jo Had Dikhai De.
Aisa Ho Jo Ali Ko Muhammad Dikhai De.
Be Misal Mustafa Ki Hai Tasveer-e-Be Misal.
Aye Mosa Lao Toor Se Woh Noor-e-Zuljalal.
Aye Ibrahim Lao Rasolon Ka Sab Kamal.
Mere Habib Lana Zara Apne Khad-o-Khal.
Inn Sab Tajaliyon Se Hi Akbar Sajaon Main.
Yousuf Ka Husan Lao Keh Paon Banaon Main.
Takhleeq Ke Kamal Ka Hasil Wasool Ho.
Shabeer Ne Jo Mangi Dua Woh Qabool Ho.
Roshan Shua-e-Noor Se Bait-e-Batool Ho.
Yeh Mera Shahkar Mukamal Rasool Ho.
Mehkay Gul-e-Bahisht Se Gulshan Batool Ka.
Jholi Mein Ho Hussain Ki Bachpan Rasool Ka.
Chehray Mein Iss Ke Chehra-e-Wahdat Ka Rang Ho.
Paikar Mein Iss Ke Aouj-e-Wilayat Ka Rang Ho.
Qamat Mein Har Imamon Ki Qamat Ka Rang Ho.
Misal-e-Rasool Iss Mein Risalat Ka Rang Ho.
Dohraon Aaj Phir Main Kahani Rasool Ki.
Mera Hussain Dekhey Jawani Rasool Ki.
Mujh Ko Yeh Zaat-e-Husan Sajane Pe Fakhar Ho.
Paye Hussain Iss Ko Tu Paney Pe Fakhar Ho.
Mujh Ko Yeh Shahkar Dikhaney Pe Fakhar Ho.
Aisa Bane Keh Mujh Ko Bananey Pe Fakhar Ho.
Apne Haseen Habib Ki Tanveer Dekh Kar.
Main Khud Ko Khud Bhi Dad Doon Tasveer Dekh Kar.
Aisa Bane Keh Khalq Ka Maiyar Dad De.
Hai Jis Ki Yeh Shabeeh Woh Sardar Dad De.
Noor-e-Mubeen Ho Alam-e-Anwar Dad De.
Aisa Kamal Haider-e-Karrar Dad De.
Tasbeeh Ki Sada Ho Zameen Aasman Par.
Jari Ho Meri Hamd Ali Ki Zaban Par.
Main Ba Hunar Hoon Apna Hunar Main Dikhaon Ga.
Aayat-e-Fajar Se Rukh-e-Roshan Sajaon Ga.
Iss Noor Ko Main Apni Jilu Mein Jilaon Ga.
Washams Wal Qamar Se Main Aankhein Banaon Ga.
Aawaz Aisi Ho Keh Jahan Gonjney Lagay.
Bolay Tu Masjidon Mein Azaan Gonjney Lagay.
Wahid Ke Har Kamal Ki Wahdat Bhi Iss Mein Ho.
Noor-e-Wila-o-Noor-e-Imamat Bhi Iss Mein Ho.
Haq Tu Yeh Hai Keh Meri Haqeeqat Bhi Iss Mein Ho.
Abbas-e-Zuljalal Ki Haibat Bhi Iss Mein Ho.
Talwar Par Garift Nihayat Kamal Ho.
Iss Ki Kalai Mein Ghazab-e-Zuljalal Ho.
Itna Boland Arsh Ko Cho Le Kharey Kharey.
Chotay Dikhai Deney Lagin Sab Barey Barey.
Husan-e-Khuda Ke Iss Mein Nageeney Bhi Hoon Jaray.
Yousuf Jo Iss Ko Dekhey Tu Sajday Mein Gir Paray.
Itna Haseen Ho Lal Sheh-e-Mashreqain Ka.
Yaqoob Aa Ke Sadqa Utaray Hussain Ka.
Jibreel Ja Ke Kar Marey Mazhar Se Mashwara.
Meri Taraf Se Haider-e-Safdar Se Mashwara.
Kar Haibat-o-Jalal Pe Shabar Se Mashwara.
Chehray Pe Karna Zainab-e-Muztar Se Mashwara.
Lena Hai Mashwara Yeh Sheh-e-Mashreqain Se.
Seena Ho Kaisa Poch Yeh Ja Kar Hussain Se.
:RIZWAN: Our :NOOR ALI: Bola Yeh Khuda.
Takhleeq Kar Raha Hoon Main Phir Aaj Mustafa.
Hogi Ik Our Iss Mein Yeh Azmat Ki Inteha.
Khilqat Mein Iss Ki Rakhon Ga Main Umar-e-Syeda.
Akbar Mera Ho Sorah-e-Rehman Ki Tarha.
Nazil Karon Hussain Pe Quran Ki Tarha.
Poet: :Noor Ali Noor:
Manqabat Khuwan: :Rizwan Zaidi:
Manqabat Volume: :Rizwan Zaidi 2020-21:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#AkberAliAkber
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!