Lash-e-Be Sar Ko Jo Seeney Se Lagaya Baba Lyrics In Urdu and Roman Urdu
لاشِ بے سر کو جو سینے سے لگایا باباؑ
Apne Baba Ki Lash Par Ro Ro Bain Karti Hai Sakina.
Haye Apne Dukh Dard Sunati Hai Sakina.
Lash-e-Be Sar Ko Jo Seene Se Lagaya Baba.
Shimar Ne Mujh Ko Tamachon Se Jagaya Baba.
Jab Dua Deti Thi Syedaniyaan Barh Barh Ke Ossay.
Tab Ho Asal Mein Ahsas Yateemi Ka Mujhe.
Hur Ki Zojah Ne Humein Pani Pilaya Baba.
Kaun Sunta Bhala Rodad Meri Ghurbat Ki.
Dhondtay Dhondtay Tujh Ko Jo Nehar Tak Pohanchi.
Main Ne Chacha Ko Har Zakhm Dikhaya Baba.
Bara Ahsan Kiya Baba Chura Kar Oss Ne.
Apni Aagosh Mein Asghar Sa Chupa Kar Oss Ne.
Shimar Ke Zulm Se Abid Ne Bachaya Baba.
Jab Teri Lash Pe Aye Baba Shaqi Laye Mujhe.
Oss Ghari Sham-e-Ghareebaan Mein Lehad Se Aa Ke.
Dadi Zahra Ne Mujhe Seene Lagaya Baba.
Chin Gaya Mujh Se Watan Mera Saharey Bhi Mere.
Loot Li Sar Se Rida Kano Se Gohar Cheeney.
Jal Gaye Khaimay Tu Phir Qaidi Banaya Baba.
Ab Bhi :QASIM: Dar-e-Zindaan Se Sada Aati Hai.
Jaisay Kehti Hai Yateema Yeh Bureda Sar Se.
Aap Ke Baad Bara Mujh Ko Rulaya Baba.
Poet: :Qasim Ali Qasim:
Noha Khuwaan: :Danish Ali:
Noha Volume: :Danish Ali 2020-21:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#LasheBeSar
#NohayLyrics
#tajpoint