Ro Ke Kehti Thi Sakina Abid e Beemar Se Lyrics 2018
Ro Ke Kehti Thi Sakina Abid-e-Beemar Se.
Kya Meri Maiyyat Bhi Guzre Gi Issi Bazar Se.
Main Ne Baba Ke Galay Pe Rakha Tha Apna Gala.
De Ke Apni Hi Qasam Baba Ne Rukhsat Kar Diya.
Warna Main Bhi Qatal Ho Jati Ossi Talwar Se.
Aakhri Khuwaish Samajh Kar Mujh Ko Sar Baba Ka Dein.
Inn Se Kahiye Jitna Jee Chahe Tamache Maar Lein.
Jis Qadar Chahein Baha Lein Khoon Mere Rukhsar Se.
Baat Jab Sare Safeeron Mein Kaneezi Ki Hoi.
Main Tu Bhaiya Sharam Se Hi Mar Gayi Thi Oss Ghari.
Main Kahan Zinda Palat Kar Aayi Thi Darbar Se.
Baad Mere Gar Gohar Wapis Bhi Mil Jaein Tumhein.
Qabar-e-Sarkar-e-Do Alam Par Charha Dena Inhein.
Roz-e-Mehshar Loon Gi Main Ab Ahmad-e-Mukhtar Se.
Sochte Rehte The :AKBAR: Abid-e-Muztar Yehi.
Kis Tarha Aanso Uthaon Khak Se Zindan Ki.
Our Laho Kaise Juda Ho Ga Dar-o-Dewar Se.
Poet: :Hasnain Akbar:
Soz: :Asghar Khan:
Markazi Matami Dasta Chan Pear Party Behlol Dana
Parveiz Asghar Group Sialkot
#RoKeKehtiThiSakina
#NohayLyrics
#tajpoint