Karbala Bula Lo Ay Mere Hussain Syed Mohammad Shah Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Karbala Bula Lo Ay Mere Hussain Syed Mohammad Shah Lyrics In Urdu and Roman Urdu

کربلا بُلا لو اے میرے حُسینؑ

Aye Mere Aaqa, Aye Mere Maula, Tumhara Banda Pukarta Hai.
Jabeen Ke Sajday, Tarap Rahe Hain, Har Aik Aanso Tarap Raha Hai.
Nahi Hai Koi, Nahi Hai Koi, Mera Maseeha Tere Siwa.
Karbala Bola Lo, Karbala Bola Lo, Karbala Bola Lo Aye Mere Hussain.
Yeh Azadar Hain Sail Maula.
Hoon Atta Inn Ko Wasail Maula.
Muflisi Rah Mein Hai Hayal Maula.
Door Kar Do Yeh Masail Maula.
Jo Tera Roza Na Dekh Paye.
Tu Kya Inn Aankhon Ka Faida.
Haan Gunahon Ke Moalij Tum Ho.
Qibla-e-Baab-e-Hawaij Tum Ho.
Alam-e-Kun Fa Ya Koon Mein Maula.
Marziyaan Jis Ki Hain Raij Tum Ho.
Kareem Ibn-e-Kareem Tere.
Karam Ki Had Hai Na Inteha.
Rizq Aankhon Ka Ziyarat Hai Teri.
Rizq Inn Hathoon Ka Baiyat Hai Teri.
Rooh Ka Rizq Hai Irfan Tera.
Rizq Iss Dil Ka Muhabbat Hai Teri.
Jahan Girey They Tumharey Aanso.
Girey Wahin Par Lahu Mera.
Hazari Ho Wahan Ik Bar Meri.
Jahan Aate Hain Sawa Lakh Nabi.
Ho Ke Mas Roza-e-Aqdas Se Tere.
Main Pukaron Ga Faqat Man Misli.
Kissi Nabi Ki Lehad Ka Zair.
Bhi Aaj Tak Na Yeh Keh Saka.
Meri Taqdeer Jaga Do Maula.
Apna Darbar Dikha Do Maula.
Ho Karam Mujh Pe Qaza Se Pehle.
Apna Zawwar Bana Do Maula.
Atta Inn Aankhon Ko Ab Sakoon Ho.
Tumhein Sakina Ka Wasta.
Rab Ki Tauheed Bananey Walay.
Hur Ki Bigri Ko Bananey Walay.
Aik Romal Bashakal-e-Dasta.
Hur Ke Mathay Pe Sajane Walay.
Jisay Bhi Chahe Tu Hur Bana De.
Hai Teri Marzi Teri Atta.
Bas Teri Turbat-e-Athar Ke Qareeb.
So Rahe Hain Jahan Jaun Our Habib.
Ibn-e-Zahra Aye Farishton Ke Tabeeb.
Kash Ho Jaye Mujhe Qabar Naseeb.
Jahan Zameen Pe Basa Howa Hai.
Khuda Paraston Ka Qafila.
Khak Janat Se Bhi Mehngi Hai Jahan.
Pyas Kausar Ki Bhi Bhujti Hai Jahan.
Zindagi Maut Pe Marti Hai Jahan.
Baat Nabiyon Ki Bhi Banti Hai Jahan.
Ossi Zameen Pe, Ossi Zameen Pe.
Jahan Hai Arsh-e-Khuda Jhuka.
Aye Wilayat Ke Mohafiz Shabeer.
Tere Darbar Mein Aaya Hai Faqeer.
Ik Nazar Dekh Le Iss Ki Tehreer.
Iss Ke Alfaz Mein Bhar De Taseer.
Atta Ho :MUHSIN: Ko Sare Lafzoon.
Ke Sare Harfoon Ki Ik Jaza.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Master Syed Muhammad Shah:
Noha Volum: :Master Syed Muhammad Shah 2023-24:
Soz: :Muhsin Jaffri:
#KarbalaBulaLoAyMereHussain
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!