Ghurbat-e-Sajjad Saleem Mastan Wa Bradran Lyrics Urdu 2024
Ghurbat-e-Sajjad Saleem Mastan Wa Bradran.
Kaisay Ho Biyaan Abid-e-Beemar Ki Ghurbat.
Oss Chadar-e-Zainab Ke Azadar Ki Ghurbat.
Yani Sar-e-Shabbir Ke Gham Khawar Ki Ghurbat.
Jo Qaid Hai Oss Qafila Salar Ki Ghurbat.
Ghar Lutnay Ke Gham Mein Jo Sakoon Se Nahi Soya.
Chalees Baras Aankhon Se Jo Khon Hai Roya.
Jaltay Hoye Khaimon Ka Dhowaan Dekha Hai Iss Ne.
Luttay Hoye Ik Din Mein Jahan Dekha Hai Iss Ne.
Sar Sab Ka Sar-e-Nook-e-Sina Dekha Hai Iss Ne.
Bazar Mein Mehshar Ka Samaa Dekha Hai Iss Ne.
Kab Zulm-o-Sitam Iss Qadar Ajdad Pe Guzrey.
Jo Qaid Mein Ik Syed-e-Sajjad Pe Guzrey.
Be Pardah Haram Jab Sar-e-Darbar Gaye They.
Baithay They Wahan Loag Jo Badkar Barey They.
Kab Zulm-o-Sitam Abid-e-Muztar Pe Rukay They.
Behna Ko Kaneezi Mein Laeen Mang Rahe They.
Humsheer Ka Naam Aaya Jo Badkar Ke Lab Par.
Sajjad Lahu Rotay Rahe Khak Pe Gir Kar.
Jab Sham Ke Zindan Mein Woh Qafila Pohancha.
Tareeki Pe Karne Lagi Khud Raat Bhi Noha.
Bhai Se Galay Lag Ke Pukari Yeh Sakina.
Yaad Aata Hai Aye Bhaiyya Bohat Mujh Ko Madina.
Baba Ko Bola Do Keh Woh Karwa Dein Gay Aazad.
Baba Nahi Aaye Tu Main Mar Jaon Gi Sajjad.
Rotay Hoye Jo Qaid Mein Woh Soyi Sakina.
Kuch Dair Hi Guzri Uthi Kartay Hoye Giriya.
Abid Se Kaha Lainay Mujhe Aate Hain Baba.
Zindan Mein Sar Hazrat-e-Shabbir Ka Aaya.
Zindan Bhi Gaunj Utha Ajab Aah-o-Fogaan Se.
Rotay Hoye Baba Ko Sakina Gayi Jaan Se.
Ik BiBi Ne Sughra Se Biyaan Ki Yeh Riwayat.
Ghurbat Bhi Boka Karti Thi Aisi Thi Woh Ghurbat.
Sab Bibiyaan Roti Thin Keh Aayi Thi Qayamat.
Sajjad Pe Tha Sab Se Bara Waqt-e-Musibat.
Pardais Se Yasrab Jo Nahi Laya Behan Ko.
Zindan Ki Tareeki Mein Dafnaya Behan Ko.
Poet: :Syed Aimaad Naqvi:
Marsiya Khuwan: :Saleem Mastan Wa Bradran:
Noha Volume: :Saleem Mastan 2024-25:
#GhurbateSajjad
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha