Baba Ko Na Le Jao Syed Wajhi Hasan Zaidi.
Kofay Mein Qayamat Thi Haider Ka Janaza Tha.
Sab Betiyaan Kehti Thin Kyun Chor Gaye Baba.
Shabeer Ne Jab Aa Kar Zainab Se Yeh Farmaya.
Waqt Aa Gaya Baba Ki Maiyyat Ko Uthane Ka.
Zainab Ne Kaha Bhaiyya Baba Ko Na Le Jao.
Phat Jaye Ga Dil Mera Baba Ko Na Le Jao.
Jee Bhar Ke Abhi Chehra Main Dekh Nahi Payi.
Maiyyat Ko Uthane Mein Jaldi Na Karo Bhai.
Yaad Aaye Ga Yeh Chehra Baba Ko Na Le Jao.
Yeh Dard Yateemi Ka Kis Tarha Sahongi Main.
Baba Se Juda Ho Kar Ab Kaisay Rahongi Main.
Mar Jaye Gi Yeh Dukhiya Baba Ko Na Le Jao.
Jab Koi Nahi Hoga Pardais Mein Ghurbat Mein.
Baba Ko Bolana Hai Oss Sham-e-Musibat Mein.
Lainay Do Mujhe Wadah Baba Ko Na Le Jao.
Talwar Se Zalim Ne Iss Tarha Kiya Hamla.
Dekho Tu Zarra Ab Abhi Sar Zakhmi Hai Baba Ka.
Hai Zakhm Abhi Taza Baba Ko Na Le Jao.
Aaram Na Aaye Ga Zainab Ko Dilasay Se.
Kyun Mujh Ko Choratay Ho Baba Ke Janazay Se.
Karne Do Mujhe Giriya Baba Ko Na Le Jao.
Kya Yaad Hai Tum Ko Jab Jate Hoye Baba Ne.
Seene Se Lagaya Tha Chomay They Mere Shaney.
Be Chain Hai Dil Mera Baba Ko Na Le Jao.
Jab Hath Mere Sar Pe Rakhay Ga Koi Bhai.
Oss Waqt Bohat Mujh Ko Yaad Aaye Gi Baba Ki.
Baba Hain Meri Dunya Baba Ko Na Le Jao.
:ZEESHAN: Woh Rukhsat Ka Manzar Ho Biyaan Kaisay.
Haider Ke Janazay Ko Jab Le Ke Chaley Betay.
Zainab Ka Tha Yeh Noha Baba Ko Na Le Jao.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volum: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2021-22:
Composition: :Zeeshan Abidi:
#BabaKoNaLeJao
#NohayLyrics
#tajpoint
21 Ramzan Noha Baba Ko Na Le Jao Syed Wajhi Hasan Zaidi
Zeeshan Abidi New Noha Baba Ko Na Le Jao Syed Wajhi Hasan