Pamaliy e Lash e Hussain Wajhi Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
پامالیء لاشِ حُسینؑ
Charon Janib Se Laeeno Mein Ghira Jab Sarwar.
Gurz Mara Kissi Zalim Ne Sar-e-Aqdas Par.
Koi Pehlu Mein Lagata Tha Sina-o-Khanjar.
Marta Tha Koi Mazloom Ko Bhar Kar Pathar.
Pas Jis Ke Na Tha Kuch Woh Yeh Sitam Dhata Tha.
Zakhm Par Jalti Hoi Khak Gira Jata Tha.
Ravi Kehta Hai Keh Jab Kat Gaya Sarwar Ka Galla.
Wa Hussaina Ki Sadaein Thin Sar-e-Karb-o-Bala.
Jashan Mein Ho Gaye Masroof Sabhi Ahl-e-Jafa.
Umar-e-Sad Ne Na Ga Yeh Di Barh Ke Sada.
Lash-e-Sad Chak Ka Ab Our Bura Haal Karo.
Sar Jo Kata Hai Tu Ab Lash Ko Pamal Karo.
Lashay Pamal Jonhi Karne Ka Ayelan Howa.
Shoor Bajoon Ka Barha Foaj Mein Heyjan Howa.
Nal Bandi Ka Idhar Dasht Mein Saman Howa.
Our Udhar Nalah Kuna Khuld Mein Rizwan Howa.
Roh-e-Zahra-o-Ali Qabar Mein Tharanay Lagi.
Dasht Mein Haye Hussaina Ki Sada Aane Lagi.
Taza Dam Ghorey Wahan Dasht Mein Mangwaye Gaye.
Das Sawar Unn Ke Liye Foaj Se Bulwaye Gaye.
Zeen Bandhi Gayi Our Ghorey Bhi Sajwaye Gaye.
Wazan Ke Wastay Aahan Unhein Pehnaye Gaye.
Nal Bandi Hoi Arbon Ke Qabeelon Wali.
Nal Pehnai Gayi Ghoron Ko Kelon Wali.
Das Ke Das Ghorey Jo Pamali Ko Teyar Hoye.
Ashqiya Aan Ke Unn Ghoron Pe Aswaar Hoye.
Lash-e-Khasta Se Addo Bar Sar-e-Paykar Hoye.
Arsh Pe Giriya Kuna Ahmad-e-Mukhtar Hoye.
Zad Pe Pamali Ki Tha Haq Ke Wali Ka Lasha.
Beech Lashkar Tha Hussain Ibn-e-Ali Ka Lasha.
Lash-e-Sarwar Pe Addo Ghoron Ko Doraney Lagay.
Our Bhi Zainab-o-Kulsoom Ko Rulwaney Lagay.
Hadiyaan Totein Tu Aiza Bhi Bikhar Jane Lagay.
Lash Ke Tukray Faras Dasht Mein Phailanay Lagay.
Pasliyaan Totney Ki Ran Mein Sada Aane Lagi.
Ranj Ke Marey Behan Shah Ki Gash Khaney Lagi.
Har Taraf Phail Gaye Lash Ke Tukray Ran Mein.
Khon Baqi Na Raha Shah Ke Khasta Tan Mein.
Jism Ka Khon Tha Sab Khak Ke Hi Daman Mein.
Khuld Se Roti Hoi Aa Gayi Zahra Ban Mein.
Door Tak Ran Mein Idhar Our Udhar Jati Thin.
Lash Ke Tukron Ko Chadar Mein Utha Lati Thin.
Kya Khabar Hum Ko Keh Kis Kis Ne Uthaye Tukray.
Fatima Zahra Ne Pehle Tu Sametay Tukray.
Sath Mein Logon Ke Sajjad Ne Dhondney Tukray.
Haye Phir Bhi Nahi Mil Paye They Sare Tukray.
Qalb-e-Ahmad Ke Jo They Tukray Ossi Khak Mein Hain.
Shah Ke Jism Ke Kuch Zarray Ossi Khak Mein Hain.
Poet: :Allama Syed Zille Saqlain Zaidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2022-23:
Composition: :Zill e Raza Zaidi:
#PamaliyeLasheHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com