Abbas Hamara Hey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005
Abbas Hamara Hey Nadeem Sarwar Lyrics
Abbas-e-Ali Aaye Qareeb-e-Sheh-e-Abrar.
Bhai Ko Alam De Keh Kiya Sheh Ne Bohat Pyar.
Hans Hans Ke Rafiqon Se Yeh Karne Lagay Guftar.
Jaisi Yeh Meri Foaj Hai Waisa Hi Alamdar.
Ghazi Sa Koi Deen Ka Sardar Na Hoga.
Abbas Sa Dunya Mein Alamdar Na Hoga.
Sakhi Abbas Hamara Hai Alamdar Hamara.
Hashim Ka Qamar Haider-e-Karrar Ka Pyara.
Haider Ke Gharanay Ki Sakhawat Sakhi Abbas.
Khon-e-Abu Talib Ki Sadaqat Sakhi Abbas.
Zahra Ki Duaon Ki Taharat Sakhi Abbas.
Qudrat Ne Banaya Nahi Phir Aisa Dobarah.
Quran-e-Wafa Shair-e-Nayistan-e-Ali Hai.
Zahra Ki Tamana Hai Dil-o-Jan-e-Ali Hai.
Iss Ke Liye Bachpan Hi Se Farman-e-Ali Hai.
Main Ilm Ka Darya Hoon Yeh Darya Ka Kinara.
Paida Hoye Abbas Tu Godi Mein Utha Kar.
Zainab Ne Rakha Naam Kalejay Se Laga Kar.
Chota Sa Alam Sheh Ne Diya Unn Ko Saja Kar.
Dekha Jo Alam Ne Tu Alam Khud Yeh Pukara.
Yeh Panjtan-e-Pak Ke Lashkar Ka Nishaan Hai.
Kehte Hain Yeh Shabeer Mera Shair-e-Jawaan Hai.
Aisa Koi Dunya Mein Alamdar Kahan Hai.
Sehwan Se Hai Shahbaz Qalandar Ka Yeh Narah.
Abbas-e-Ali Roh-e-Wafa Jan-e-Wafa Hai.
Abbas-e-Ali Fatima Zahra Ki Dua Hai.
Har Waqt Alam Chomti Rehti Yeh Hawa Hai.
Bhola Nahi Abbas Ko Darya Ka Kinara.
Dunya-e-Shahadat Mein Kahan Oss Ka Hai Sani.
Jo Sare Shaheedon Ki Safon Mein Raha Ghazi.
Be Dast Bhi Ho Kar Jo Bharay Jholiyaan Sab Ki.
Hashim Ka Qamar Sare Faqeeron Ka Sahara.
Lazim Hai Keh Hum Dekhein Gay Ik Roz Yeh Manzar.
Farmaein Gay Jab Mehdi-e-Doraan Sar-e-Mimber.
Kabay Se Namodar Jo Hoga Mera Lashkar.
Hoga Yehi Lashkar Ka Alamdar Hamara.
Yaad Aata Hai Woh Rukhsat-e-Abbas Ka Manzar.
Woh Rona Sakina Ka Phareray Ko Pakar Kar.
Woh Dekhna Zainab Ka Kabhi Ghar Kabhi Chadar.
Kehti Thi Palat Aaye Behan Bhai Ka Pyara.
Abbas Gaye Ho Gaya Maula Mera Tanha.
Dekha Kabhi Maidaan Tu Kabhi Janib-e-Darya.
Nagah Alam Nehar Pe Girtay Hoye Dekha.
Zainab Se Kaha Shair Gaya Nehar Pe Mara.
Aye :SARWAR-o-REHAN: Yeh Eman Hai Apna.
Abbas Ke Parcham Ka Sada Sar Pe Hai Saya.
Parhne Ke Liye Hashar Mein Shabeer Ka Noha.
Abbas Bulaein Gay Humein Kar Ke Ishara.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2004-05:
#AbbasHamaraHey
#NohayLyrics
#tajpoint
Old Noha Abbas Hamara Hey Nadeem Sarwar Lyrics