Salam Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2007
Salam Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics
Ya Khuda, Ya Khuda Surkh Hai Aasmaan Cheekhti Hai Fiza.
Salam, Salam Ya Hussain.
Gaib Se Aa Rahi Hai Musalsal Sada.
Lo Aaftab-e-Shahadat Talu Ho Gaya.
Bar Zaban-o-Dillam Ya Hussain, Ya Hussain.
Marhaba Mohtaram Ya Hussain, Ya Hussain.
Azeem Tha Azeem Hai Azeem Tar Hai Ya Hussain.
Khuda-e-Pak Ki Nazar Teri Nazar Hai Ya Hussain.
Yeh Dil Bhi Tera Dil Nahi Khuda Ka Ghar Hai Ya Hussain.
Wahan Wahan Azan Hai Jidhar Jidhar Hai Ya Hussain.
Sina Ki Nook Par Azaan Tera Jigar Hai Ya Hussain.
Sina Ki Nook Par Buland Zindagi Ko Kar Diya Azeem Kam Kar Diya.
Hussain Woh Jo Maqtalon Ko Maktabon Mein Dhaal De.
Hussain Woh Jo Mushkilon Se Deen Ko Nikal Le.
Khuda Agar Talab Karey Hussain Apne Lal De.
Hussain Jo Talab Karey Woh Rab-e-Zuljalal De.
Hussain Woh Sakhi Hai Jo Gada Ko Be Sawal De.
Kamal Yeh Hai Khud Khuda Kahey Kamal Kar Diya Azeem Kam Kar Diya.
Bulandiyon Se Poch Lo Sina Sina Hussain Hai.
Qadam Qadam Hussain Hai Nishaan Nishaan Hussain Hai.
Dilon Mein Ahl-e-Dard Ke Rawaan Dawaan Hussain Hai.
Zamana Pochta Hai Yeh Kahan Kahan Hussain Hai.
Jahan Jahan Rasool Hain Wahan Wahan Hussain Hai.
Khuda Ne Iss Shaheed Ko Ajeeb Yeh Samar Diya Azeem Kam Kar Diya.
Ajeeb Hai Yeh Marhala Ajeeb Hai Yeh Hosla.
Bichar Gaya Hai Qafilay Se Yeh Ameer-e-Qafila.
Ghira Hai Foaj-e-Sham Mein Akela Ibn-e-Syeda.
Hai Door Khaima Ga Se Yeh Fatima Ka Ladla.
Sakon Apna De Chuka Qarrar Apna De Chuka.
Hussain Ne Khudai Ko Bhi Be Qarrar Kar Diya Azeem Kam Kar Diya.
Idhar Galuye Khushk Par Hussain Ke Churi Chali.
Udhar Qareeb-e-Alqama Tarap Ke Reh Gaya Jarri.
Behan Ko Hosh Na Raha Sakina Khak Par Giri.
Sadaein Gonjney Lagin Hussain Ya Hussain Ki.
Yeh Kis Ne Apna Sar Diya Khudai Cheekhne Lagi.
Sina Se Sar Ke Khon Ne Salam Aakhri Kiya Azeem Kam Kar Diya.
Hussain Badshah Par Salam Har Zaban Ka.
Salam Ho Salam Ho Zameen-o-Aasman Ka.
Salam Ibn-e-Syeda Pe :SARWAR-o-REHAN: Ka.
Har Aik Rang-o-Nasal Ka Salam Har Zaban Ka.
Salam Shah-e-Karbala Khuda-e-Meharban Ka.
Khuda Ka Zikar Do Jahan Mein Tu Ne Aam Kar Diya Azeem Kam Kar Diya.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2006-07:
#SalamYaHussain
#NohayLyrics
#tajpoint