Ghar Ghar Matam Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1995
Ghar Ghar Matam Nadeem Sarwar Lyrics
Ghar Ghar Matam Dar Dar Matam Tera Hota Rahe Maula Matam.
Basti Basti Qariya Qariya Tera Hota Rahe Maula Matam.
Tera Matami Aye Mere Maula Dunya Ke Kissi Konay Mein Gaya.
Masroof Raha Matam Mein Tere Deta Hai Sakoon Tera Matam.
Jab Dil Ne Kaha Aaein Zahra Mere Ghar Mein Bahane Ashk-e-Azza.
Bas Main Ne Bicha Ke Farsh-e-Azza Kuch Dair Kiya Barpa Matam.
Kal Hath Bandhay They Zainab Ke Majboor Behan Thi Matam Se.
Majlis Hai Teri Ghar Ghar Barpa Ab Karti Hai Sab Dunya Matam.
Abbas Ke Shaney Kat Tu Gaye Masoom Tere Pyasay Bhi Rahe.
Ghazi Ke Liye Bachoon Ke Liye Ab Karta Rahe Darya Matam.
Ashor Ko Jab Soraj Nikla Zahra Ke Bharay Ghar Ko Dekha.
Our Chand Ne Zainab Ko Dekha Karti Hai Bharay Ghar Ka Matam.
Karbal Se Safar Tha Sham Ka Jab Lashay Pe Pukari Yeh Zainab.
Ta Hashar Teri Mazlomi Par Karna Hai Mujhe Bhaiyya Matam.
Jo Karb-o-Bala Se Sham Gayi Woh Bint-e-Zahra Bint-e-Ali.
Sab Maein Behnein Mil Kar Ab Karti Hain Sada Oss Ka Matam.
Beemar Tha Our Zanjeerein Thin Pairon Ke Talay Jalti Thi Zameen.
Sajjad Ke Gham Mein Ro Ro Kar Karta Hai Har Ik Rasta Matam.
Sardar-e-Jinna Shabeer Hain Jab :REHAN: Kaho Yeh Baat Bhi Ab.
:SARWAR: Jo Sunaye Ga Noha Janat Mein Bapa Hoga Matam.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1994-95:
#GharGharMatam
#NohayLyrics
#tajpoint